Green Tea Banane Ka Tarika Aur Iske Fayde – Nuksan

green tea peene ke fayde

Aalaspan aur thakan ko door karne ke liye jyadatar log Tea ka sahara lete hai. Doodh ki chay fayda kam nuksaan jyada karti hai isse pachan kriya kamjor hoti hai aur acidity, pet ki problems hone lagti hai. Yadi hum Doodh wali chay ki jagah par Green Tea peene ki aadat daal le to yeh bahut faydemand hai. Bahut logo ne Patanjali Tea piya hai aur apne motape ko kam kiya hai. Kafi logo ko chay banane ka sahi tarika nahi pata hai to aaj hum is post me Chay banane ka sahi tarika aur Green Tea se fayde- nuksan ke baare me baat karenge.

Green Tea Banane Ki Vidhi

  1. Green tea banane ke 2 types hai first khuli pattiyon wala and second Tea Bag use karna.
  2. Green Tea banane ke liye 1 spoon hari patti daal dijiye ya phir ap tea bag ka use kar ka rahe hai to 1 cup paani ke saath 1 Tea bag le lijiye.
  3. 1 Cup paani ke liye 1 spoon sugar or shahad le sakte hai. Sugar ki matra apne swadanusar badha sakte hai. Yadi aap bajan kam karne ke liye Green tea bana rahe hai to Sugar ki jaga shahad faydeman rahega.
  4. 1 Cup paani boil kar lijiye aur isme khuli patti daalkar dhak dijiye yadi aap khuli pattiyon wali Green Tea bana rahe hai.
  5. Almost 2 minute isse chhan lijiye. Ab aap Green Tea ko sugar or shahad swadanusar milakar pi sakte hai.
  6. Yadi aap Bag wali chay pina chahte hai to, Tea bag ko Cup me daliye ab iske upar boil water daal dijiye. Ab Swadanusar sugar or shahad milakar pi lijiye.
  7. Patanjali Store me aapko Divya Herbal Peya tea apko mil  jayegi, kafi log isko peete hai apne motape ko kam karne ke liye.

               Green Tea Banane ke liye kuch Important Tips

  • Boil water me chay patti jyada der tak na daalkar rakhe, nahi to isse chay kadwi ho sakti hai.
  • Green Tea me Doodh thoda sa bhi na daale, nahi to iska asar khatm ho jayega.
  • Alag alag ke swad pane ke liye adrak, tulsi, neebu Green team me daal sakte hai.

Green Tea ke Fayde aur Nuksan

  1. Green Tea ko aap Daily 1-2 Cup pee sakte hai isse mind ki memory power badhti hai.
  2. Stamina badhane aur Body ko energetic banane ke liye Grean Tea acha idea hai.
  3. Green Tea peene se hail fall control hota hai aur Baalo ki jade majboot hoti hai.
  4. Blood Pressure marijo ke liye Green Tea asardaar hai yeh Blood Pressure ko control karne me help karta hai.
  5. Green Tea peene se Daat majboot hote hai aur Daato ki life badhti hai.
  6. Weight loss karne ke liye Green tea best hai isse extra fat burn hoti hai.
  7. Diabetes Patient ko Green tea jaroor peeni chahiye yeh diabetes ko kam karta hai.
  8. Green Tea jyada peene se numksaan bhi karta hai jaise ki Need na aana, baar baar pesab aana, pachan kriya kharab hona.
  9. Yadi aap ko medicine le rahe hai to Green tea na piye yeh nuksaan kar sakta hai.

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

प्रातिक्रिया दे

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *