Kya aap bhi khud ka Business karna chahte hai ? aur apko Small Business tips and tricks in Hindi me jankari chahiye to yeh post apke liye hai. Aaj hum janenge ki kam paise me apna Business kaise kare ? Humi logo me se kai logo ke paas Business karne ke shandaar Business Ideas hoto hai aur hum bhi apna business setup karne ki sapne dekhte rahte hai. Jyadatar log Dar ke karan apna business nahi kar pate, wo sochte hai ki business me fail ho gaya to mera kya hoga, mere baare me log kya kahenge etc.
Kisi chota business ko shuru karne se lekar croro ka business banane tak ka safar bahut muskil lekin ek Amazing Journey hota hai. Is safar me aapko ek achcha plan banana hota hai, Hard work hona chahiye, Kisi bhi problems ka solution nikalna jaruri hai, jab bhi fail ho use accept kar Siksha leni chahiye, Shuruaat me business karne par bahur sari problems aati hai aur log bhi aapke business Ideas par bharosha nahi karte, jab aap fail hote hai to kai baar Dran Sankalp tutne lagta hai lekin apko har bar girkar uthna hai aur sabhi chunautiyo ko accept karna hai aur phir Success aapko clear dikhne lagegi aur apka business bhi aise shikhar par pahuch jayega ki khud par bhi bharosha nahi hoga.
1. Mobile Phone Repair Ka Business
Mobile phone sabke kharab hote hai aur phone repair karana sab logo ki majburi ban jati hai, aap is majburi ka fayda utha sakte hai aur ache paise kama sakte hai. Bas aapko phone repair ki training lena hai phir ek ache location par apni shop kholni hai bus log phone repair karwane khud hi aane lagege.
Ab is business ko kaise bada kare to iske liye aap aur ladko ko rakh lo aur recharge karna, Mobile phone and Mobile accessories sell karna shure kare dijiye. Yeh kaam asan hai aur dheere dheere isme achhi income kar sakte hai.
2. Online Blogging Karna
Yadi aapko likhne ka sauk hai to Online Blogging karna apke liye achcha rahega. Bas aap 1 Domain and 1 hosting buy kar le, yeh apko 5000 rs me 1 year ke liye mil jayega. Aap jis topic par intrust hai usi topic par blog likhna shuru kar de lagbhag 6 month or 1 year baad jab blog par traffic aane lage to Google Adsense ke Ads lagakar achi income generate kar sakte hai.
3. Youtube Videos
Youtube internet se paisa kamane ka badhiya platform hai. India me Youtube se log 1 month me Lakho kama rahe hai, sabse achchi baat ki yeh without money ka business hai kyonki isme na to Domain kharidna hai aur nahi Hosting ki jarurat hai.Youtube free platform deta hai,bas apko aise Videos banani hai jise log jyada dekhna pasand karte ho, phir Video ko apne Youtube channel par upload kar de. Jab Videos par jyada Views aane lage to Ads dikhakar paise kamaye.
Read :- Youtube Se Paise Kaise Kamaye
4. Freelancing Karna
Freelancer ek aise platform hai jisme Online work and Offline work dono milte hai. Freelancer me business karne ke liye kya karna hai?
Freelaner me sabhi tarah ke project milte hai jaise Designing, Writing, Digital marketing etc. Aapne jaise Writing project lena start kiya to aapko kuchh writters hire karna padega, unse writing karwakar Freelancer se paise kamaye.
5. Photo Graphy
Photography ka scope bahut achcha hai, aap ek Photograpy Shop open kar party, marriage me aaram se photo Click kar sakte hai. Isme sabse achchi baat hai ki apko kisi diploma ki jarurat nahi hai bus ek Quality Camera, computer and editing skill honi chahiye. yeh business one time investment hai phir aaram se aap achcha paisa kama sakte hai.
6. Travel Services
Travel Service me aap kam time me jyada income generate kar sakte hai. Aapko bas Transport company and hotels walo se contact karna hai. Discount kar apni travel agency ka advertisement karna hai. Jab koi customer apse contact kare to use Transport and hotel ki achchi service deni hai. customer ki details apne pass rakhni hai aur jab koi festival aaye to ache discount ke saath unhe message karna hai.
Mujhe Ummeed hai aapko yeh post achcha laga hoga. Yadi aapko bhi Online business karne ke kuch aur tariko ke bare me jankari hai to hamare reders ke sath comment kar share kar sakte hai.
Bahut hi acha article likha hai aapne Vijay bhai ..
Waise mai apna experience btau toh 2 saal phle maine blog start kiya tha.. aap hi se hi sikh kar ..Aur kafi maje se blogging ke sath sath YouTube bhi kar rha hun. Aur dono hi online paise kamane ke best option hai.. Mai Thank you karna chahunga aapka… ??
mai bhi online bijness karunga , hamari store hai gav me, thank u sir..
sir bhut badhiya, maine bhi ab online store shuru karne ka vichar kiya hai. thank u.