Google Adsense Kya Hai aur Adsense Se Paise Kaise Kamaye

Google adsense kya hai aapne bahut baar Google adsense ke bare me suna hoga. Jab hum Vlogging or Blogging karte hai to sabka ek hi motive hota hai Online paise kaise kamaye. Online paise kamana easy hai bus aapko hard work and patience rakhana hai. Apne kaam ke liye aapko hamesha serious rahna padega aisa nahi hai ki ek blog banakar aur net connection laga liya to online income start ho jayegi.

Jab koi blog banane ho to starting se hi income nahi aati uske liye aapke blog me traffic hona chahiye phir advertisement lagana padega tab aapko paise milege. Adsense Google ki Advertisement service hai, jiske dwara aap online paise kama sakte hai. chaliye detail me jante hai what is Google adsense in Hindi.

google adsense se paise kaise kamaye

Google Adsense kya hai

Adsense, Google company ka free service hai, jo publisher ke website or Videos par ads dikhata hai. jyadatar blog online earning ke liye Google adsense par depend rahte hai. Yadi aapke website or blog ko Google Adsense se approval mil gaya hai to Ads apni website par lagakar kar paise kama sakte hai.

Adsense me income do tarah se generate hoti hai – Clicks and impression se.

Impression– Aapke blog par daily Ads kitne baar dekha gaya us hisab se paisa milta hai jaise 1000 views ke $1 milta hai.
Clicks– Clicks ka matlab apke ads par kitne Clicks huye.

Ek baar Adsense account approved hone ke baad aap blog me apne hisab se ads laga sakte hai jaise kaun se color ka ads lagana hai or kis position par ads lagana hai etc. Jab Aapke blog par visitors aane lagege aur Ads par click karenge to aapki income badhti jayegi. jaise Google Adsense account me $100 ho jayenge use direct apne bank account me transfer kar sakte hai.

Google Adsense ke ads ko aap Youtube channel and website dono par laga sakte hai. jyadatar visitor aise hote hai jo padhne se achcha Video dekhna pasand karte hai, aur shayad isiliye Youtube world ki sabse badi Video social networking site hai. Jab aap Youtube par koi video dekhte hai to jarur notice kiya hoga ki video dekhte time Ads dikhai dete hai yeh aur kuch nahi Google Adsense ke ads hai.

Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye

Google Adsense se lakho log mahine ka lakho rupees kama rahe hai aur aap bhi kama sakte hai.

  • Sabse pahle aapko apna Blog or Youtube Channel banan hai.
  • Aapka Blog Google Adsense policy ko follow karna chahiye tabhi Adsense account approved hoga.
  • Ab Google Adsense me signup karna hai. 1 week ke andar hi Google Adsense ki team apke blog ka review karegne.
  • Yadi apki website or blog Google Adsense policy ke hisab se theek hai to adsense account approved ho jayega.
  • Adsense account approved hone ke baad Ads code ko apne blog par lagana hai jise Ads dikhna start ho jayega aur apki online income chalu ho jayegi.

Mujhe Ummeed hai aapko pata chal gaya hoga ki Google adsense kya hai aur Google adsense se paise kaise kamaye. Yadi aapke man me koi question or suggestion hai to comment kar bata sakte hai.

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

5 Comments

प्रातिक्रिया दे

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *