SEO Kya Hai Aur Yeh Website Ke Liye Kyon Important Hai

SEO kya hai aur blog or website ke liye kyon jaroori hai. aksar naye blogger ke man me yahi sawal chalta rahta hai.  Aaj Digital duniya ka jamana chal raha hai jaha par lakho logo online rahte hai Yaha par apni baat ko Video ke dwara pahucha sakte hai ya phir Content ke dwara. Jyada visitor paane ke liye aapke article ko Search engine ke first page par aana bahut jaroori hai kyonki yahi aisa page hota hai jaha visitor like aur trust karte hai kisi bhi article ko. Jab kisi article ka sahi tarike se SEO (Search Engine Optimization) hota hai to wah Search engine ke first page par aaja hai.

Aisa kahna bilkul galat nahi hoga ki Blogging ki jaan SEO me hai. chahe aap jitna achcha article kyon na likh le lekin yadi us article ka SEO nahi hua to wah rank nahi karega aur traffic bhi nahi aayega to writter ka sara mehnat paani me chala jayega. Isliye yadi aap Blogging karna chahte hai or Blogging kar rahe hai to SEO ke baare me jaanna bahut jaroori hai. SEO Google ke alogrithm par depend karta hai aur yeh samay ke anusar change hota rahta hai. Aaj ke is post me hum jaanenge  ki SEO kya hota hai aur Blogging ke liye kyon jaroori hai.

What is SEO in Hindi

seo kya hai and types of seo in hindi

SEO ek technique hai website or blog ko search engine me Rank karane ki aur iska full form Search Engine Optimization hai. Duniya bhar me bahut saare search engine hai jaise Google, Yahoo, Bing, Ask etc. Google search engine duniya ka sabse popular search engine hai aur har vyakti yahi chahta hai ki uski website Google ke 1st postition me aaye jisse organic traffic badhega aur uski Income bhi badhegi.

SEO hamare website or blog ko Google ke 1st page par rank lane me help karta hai jisse visitor website me jaane lagte hai.  Jaise man lijiye Jab koi Google me Keyword search karta hai to us keyword se related bahut sare result Google show kar deta hai wo result alag alag website ke hote hai lekin jo page Google ke top par hota hai visitor sabse jyada usi website par visit karta hai . Google ke No.1 postition me aane ka simple sa matlab hai use webiste ki SEO bahut achche se hua hai.

SEO Kitne Prakar Ke Hote Hai

SEO ke two type hai first On Page SEO and second Off page SEO. In dono types ka apna alag alag role hai lekin website ko rank laane me dono ka bahut important role hai to inke baare me theek se jaante hai.

On Page SEO Techniques in Hindi

One Page SEO ka matlab aapke website ke liye yeh hota hai ki website ka desgine achcha hona chahiye. Website SEO friendly and Mobile friendly hona chahiye. Aap jo article likh rahe hai usme heading proper honi chahiye sath hi meta tag hona bahut jaroori hai. Article ko rank karwane ke liye Keyword ke placement hona important hai aur Images me alt tag lagana chahiye.

Ab hum on Page SEO techniques ke baare me detail me jaanenge –

1 . Website Speed – Website speed kisi bhi website ke liye bahut important hai aur iski limit hai 0-7 second hai. ek sarve ke anusar yeh baat samne aayi hai ki yadi koi website 7 second ke ander nahi khul rahi yani ke jyada samay khulne me leti hai to visitor usko close kar dete hai aur doosre website me chale jaate hai. Aur Yadi baat Google ke liye bhi apply hoti hai jis website ki speed slow hoti hai Google us website ko rank nahi deta hai.
website ke speed badhane ke liye apko kuch baato ka dyan rakhna chahiye-

  • Simple and Attractive theme ka use kare.
  • Kam se kam plugin ka use kare
  • Jyada bade size ki image use na kare
  • website speed badhane ke liye W3 Total Cache and WP super cache plugins ka use kare.

2. Title Tag – Aapke post ka title aisa hona chahiye ki visitor padhte hi use click karne par majboor ho jaye. Title me jyada search hone wala Keyword bhi hona chahiye jisse Google Rank me help milegi.

3. Post Ka URL – Post ke url ko SEO friendly banaye. Url na to  jyada bada aur nahi jyada chhota nahi hona chahiye.

4. Alt Tag- Post me jitna jyada important hai Image ka use karna use jyada jaroori hai Image me ALT tag ko lagana. isliye apne har Image me Alt tag jaroor lagaye isse jyda traffic aane ke chance badh jaate hai.

5. Heading – Post likhte time Heading ka jaroor dyan de. Kisi bhi article me h1, h2, h3 etc heading paye jate hai. lekin inme H1 heading SEO ke liye bahut important role rakhta hai. H1 heading me jyada search hone wala keyword hona chaiye.

You may also Read:

Off Page SEO Techniques in Hindi

jitna bhi kaam website ke baahar hota hai wah off page SEO kahlata hai. jaise ki apne blog ka promotion karna, dusri website me jaakar blog ka link submit karna jise banklink milega aur Backlink SEO ke liye bahut achcha mana jaata hai. Apne blog se relate dusre blog par Guest post karna chahiye jisse hume backlink aur use blog se traffic bhi milne lagta hai. aage hum Off page SEO techniques ke baare me detail me baat karenge.

1. Search Engine Submission – Apne website ke url ko Search Engine (Google, Bing, Yahoo etc) me Submit karna.
2. Blog Commenting – Apne blog se related dusri website me jaakar unke post me comment kare apne url ke saath.
3. Classified Submission–  Apne country ke classified website me jaakar apna advertisement kare apne url ke saath.
4. Social Media – Apne post ko social media par share kare jaise Facebook, Twitter, Google plus etc. Social media se bahut achcha traffic milta hai.
5. Director Submission– High domain authority website me jaakar apne blog ko director me submit kare.

Ab aap jaan gaye hoge ki SEO kya hai (What is SEO in Hindi). Yadi aapke man me koi question hai to hume comment kar puchh sakte hai aur yadi apko humari post achi lagi to isse jaroor social networking website par share kare.

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

12 Comments

  1. The search is over I finally found the best SEO Tips. This is a really very good explanation thank you very much VIJAY SIR. keep it up, man!

  2. namashkaar sir, bohut acha article likhe ho. ye article sab logo ki bohut madad karega. or sath he mera manna ye hai ki aapki theme bhi seo and adsense friendly honi chahiye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *